Himmat by Deepa (Laji) Bhagnari

2
1070

Zindagi veeraan si lagne lagi hai
Man mein udhaasi ghar kar gayi hai
Kal kya hoga, yeh sab ka sawal hai
Lekin shayad jawab kissi ke paas nahin hai

Asha ka ek deepak hum sabne jalaake rakha hai
Is deepak ko hum kabhi na bujne denge
Yeh iraada humara mazboot hai
Yeh baazi hum sab jeet kar dikhayenge

Kal phir ek naya din aayega
Uske suraj ki kirnon se sara jahaan jagmayega
Har taraf hariyali hogi
Khushi ki ek lehar hogi

Tab tak hum sab himmat na haarenge
Is virus ka dath kar muqabala karenge
Itihas ne hamein sikhaya hai
Himmat se aaage badhna hi humaari taakat hai

Us din ka besabri se intezar hai
Hum apne desh apnon ko milne aayenge
Apni maa ..apni beti..bhai behnon aur doston koh gale lagayenge
Haan hum zaroor aayenge
Ishwar se humne vaada Iiya hai

2 COMMENTS

  1. Laji, your thoughts are in synch with many of our community members who too are in the same situation. Our daughter Girja from US has been very concerned and is looking forward to come here on first opportunity.

  2. Beautiful ,well expressed. We all too waiting for normal life to resume to meet and spend time with our loved ones. Missing you being here.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here