‘Aanewaali Diwali’ by Deepa (Laji) Bhagnari

4
1754

Charon taraf sannata hai
Sarkein sooni…bazaar veerane hain
Log sahme apne gharon mein baithe hain
Kal kya hoga sab is soch mein pareshaan baithe hain

Yeh Kaisa Samay dikhaya Ishwar ne
Bache ghar mein udhas baithe hain
Bahar khuli hava mein khelne koh bekarar hain
Ghar apna hai phir bhi aisa lage jaise kaidkhana hai.

Yeh bhi samay beet jaayega
Khushi ka waqt phir se aayega
Hum phir se azaad parindon ki tarah
Jhoomenge aur naachenge

Ayodhya ne Ram aur Sita ke vanvas ke baad khoob Diwali manaayi
Hum apne is vanvas ke baad aisi hi Diwali manaayenge
Amir ho yah garib har ghar mein diye jalaayenge
Har ghar mein rang bhirange phanoos aur rangeen batiyan jagmaayengi

Sooni sarkon par phir se chahal pahal hogi
Baazaaron mein phir se raunak hogi
Naye kapre naye abhushano ki phir se khareedari hogi
Charon taraf phir se khushi ki lehar hogi

Is Diwali hum khoob pathake jalaayenge
Pathakon ke shor se hum is sannate koh mitaayenge
Chalo hum sab milkar bolein
Yeh aanewali Diwali hum subh khoob manaayenge
Is Diwali koh kabhi nah bhoolne wali ek yaad banaayenge.

4 COMMENTS

  1. Beautifully written. It expresses what most of us are currently feeling, but hope springs eternal, and we have much to look forward to.

  2. Beautiful! It is certainly the way we look at adversity that changes our outlook to life. Yeh aanewali Diwali hum subh khoob manaayenge…

  3. Very nicely penned. God bless you. Subah ke baad raat, aur Raat ke baad din aata hi hai.

    Dheeraj rakh woh rahmat ki barkha barsa hi dega ————- !

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here